Monday, January 27, 2014

Do Roz ki Ye Gulshan ki Hawa

A beautiful Nazm by the shayar, a sattire pulled on the exact condition of the world today explaining that how a man should be happy in the world with what he has. In the paragraph "Mana K Jafa parwar hai jahan , mana ke wafa ruswa hai yahan,." The shayar explains no matter how bad the world can get always remember you have responsiblities , its not one life that you have , its always certain lives behind you "jeene ko agar main thukra du jeene ki tammana kaun karre"

The whole nazm may feel like its a love poem, But its one actually explaining , A person journey in the world and thereafter, every sher makes you think of various meanings that you can derive from it. My favourite one being


Kehte hai fughan deewana hai, deewana hai tho deewana hai tho deewana sahi,
deewane ki dunia deewani , deewane ko ruswa kaun karre.


DO ROZ KI GULSHAN KI HAWA




Do Roz ki Ye Gulshan ki Hawa, Gulshan main Tamasha Kaun Karre,
Nalon se Bahal Jaata hai dil Nagme ki tamana kaun Karre.

Mana K Jafa parwar hai jahan , mana ke wafa ruswa hai yahan,
jeene ko agar main thukra du jeene ki tammana kaun karre,

Hum Kaun hai hum kya batlaye, hum kissko gawahi main laye,
ab humko zaman bhool gaya, iss bhool ka shikwa kaun karre,

Ab ishq main kiski aas rahi , umeed se badkar yaas,
Umeed tho ruswa ho he chuki , ab yaas ko ruswa kaun karre.

Hum Ahle wafa hai yaad rahe , tasleem oh riza main shaad rahe,
jis dost ko dilse dost kaha uss dost ka shikwa kaun karre .

wo sozon gudaze mehfil tho , baaki tha sahar k hone tak,
ab shama k naale kaun sune parwane ki parwa kaun karre.

Kehte hai fughan deewana hai, deewana hai tho deewana hai tho deewana sahi,
deewane ki dunia deewani , deewane ko ruswa kaun karre.