Wednesday, January 29, 2014

The Master Piece

I have loved every single sher written by my Grand Father,All his work is Masterpiece to me , but the world over people have known my Grand Father majorly for this particular kalam, He had been praised by big Ullemaas and Community leaders for this one.

Quoting one of them 'Aapne tho puri Karabala likh daali ek nauhe main'




Beti Ali ki Turbat-e Zehra pe aayee hai , Kurta Lahoo bahara hua bhai ka layee hai
kehti e Hussain ki Amma Utho utho
Zainab se karbala ka zarra majra suno
kehti e Hussain ki Amma Utho utho

Amma humara ranjho masahib hai dardnaak, Amma humare khalbo jigar ho chuke hai chaak
Amma humare nana ki ummat ne ki daga, Amma humare khoon ko samjhe sab rawa
kehti e Hussain ki Amma Utho utho
Zainab se karbala ka zarra majra suno

Amma taras ke reh gaye paani ko hum tamam, Amma diya na humko kisi ne bhi ek jaam
Amma humare Mard tahe teg hogaye, Amma nahake khoon main bechare so gaye
kehti e Hussain ki Amma Utho utho
Zainab se karbala ka zarra Majra suno

Amma Pade hai nahar par Abbas Ruth kar, Amma Sakina soti hai zinda main be pidar
Amma kaha se Akbar-e-Mehroo ko lau main , Amma kaha se Asgar-e-Nadan ko pau main
kehti e Hussain ki Amma Utho utho
Zainab se karbala ka zarra Majra suno

Amma wo mere Aun o Mohammed mere pisar, Maidaan-e-Karbala main pade hai kata ke sar
Amma lahoo main doob k Kasim bhi chal base, Amma Hasan ko muh na dikhane ke hum rahe
kehti e Hussain ki Amma Utho utho
Zainab se karbala ka zarra Majra suno

Amma Hussain Karbobalahee main rahe gaye, Amma Hussain saare Masahib ko seh gaye
Amma Hussain mar gaye be yaaro be watan , Amma hussain ko na mayaser hua kafan
kehti e Hussain ki Amma Utho utho
Zainab se karbala ka zarra Majra suno

Amma humari chaadare bhi chin gayee tamam , Amma humare haal par haste the ahle shaam
Amma wo shaam-e- Gurbate Shabbir ahha, Amma wo raat kaali wo sunsaan katl gaa
kehti e Hussain ki Amma Utho utho
Zainab se karbala ka zarra Majra suno

Amma ye haal -e-Abid-e-Bimaar hogaya , Zalim sipahi ne le liya bistar garib ka
Amma kadam kadam pe aseeri rula gayee, gardan main tauk paav main zanjeer aagayee
kehti e Hussain ki amma Utho utho
Zainab se karbala ka zarra Majra suno

Amma wo bibiyon ka tadapna wo shor-o-shay, Amma rahegi yaad wo aabon bukh wo bey
Amma Rabab roti hai Asgar ko subho shaam , Akbar ko yaad karti hai Laila-e-tashnkaam
kehti e Hussain ki Amma Utho utho
Zainab se karbala ka zarra majra suno

Baazu ke neel dekhiye Amma Khuda gawa, Maktal ki gard bangayee ab shaa Khuda gawa
Amma ye bebasi ye qayamat ki bebasi , amma Humare haal par roti hai amma bekasi
kehti e Hussain ki Amma Utho utho
Zainab se karbala ka zarra Majra suno

Amma batayiye tho main ab jee k kya karu , kiss tarah ab Hussain ki furkat ka gam sahu
aayi Fughan nida ki sare hashr hum bhi ab , Kurta lahoo bhara hua rakh denge peshe rab
Beti tumhara Bhai Shah-e- Mashra khain hain, beti tumhare sabr main fathe Hussain hai
kehti e Hussain ki Amma Utho utho
Zainab se karbala ka zarra Majra suno

3 comments:

  1. may Almighty Allah shower his wonderous blessings by sadka panjatan and chaudah masoomeen over marhoom Fuhgan and his aal , i have been listening to this nauha since i was a small child on the ashurah at the bargah hazrath abbas.

    ReplyDelete
  2. mashallah khoobsurat

    ReplyDelete
  3. I have a question, why you write shivji with your surname? Just a curiosity nothing else!

    ReplyDelete